
Haan, main wahi aashiq hoon jo tere pyaar mein barbaadormal Kya ho gaya. Jab tu chhod kar gayi, main tab bhi yahin tha… puri raat teri yaadon mein roya hoon main. Aaj bhi sochta hoon— tu mujhe chhod kar kyun chali gayi? Tere bina dil kahin lagta hi nahi. Bas ek baar laut aaja, mujhe apne gale se laga ja. Agar yeh bhi na kar sake, toh is dil ko apne jaisa be-rehm hi bana ja. Ab yeh sawaal hai— tujh se poochhun ya khud se, samajh nahi aata. Jab tu saath nahi hai, toh yaadon aur khwaabon se kyun nahi jaati? Din bhar meri yaadon mein tu mere saath rehti hai, aur raat ko jab aankhein band hoti hain, toh khwaabon mein bhi tu mere paas hoti hai. Jaise main tere liye rota hoon, kya tu bhi mere liye roti hogi? Jaise main tujhe har raat sochta hoon, kya tu bhi mujhe is tarah yaad karti hogi? Ya phir teri zindagi mein koi aur aa gaya hai, jisne meri jagah teri yaadon se mita di?